Ashfaq Ahmed Quotes


Dosron Ki Tawaqoat Ke Mutabiq Zindagi
Basar Karne Ki Waja Ye Hoti Ha Ke Ham Darte
Hain Ke Kahin Wo Ham Ko Chor Na De


Lafzon Ke Daant Nahi Hote
Magar Ye Kaat Lete Hain 


Jis Chaon Se Izat e Nafs Zakhmi Ho
Us Chaon Se Dhoop Hi Behtar Hai


Fateha Logon Ke Marne Pe Nahi,
Ehsas Ke Marne Pe Parhni Chahye,
Kunke Log Mar Jayen To Sabar A Jata Hai
Magar Ehsas Mar Jaye To Muashra Mar Jata Hai.


Muhabat To Ye Hai Ke Koi Ehsas Dilaye Bina Ap Ke Dard Ko Samet Ley
Ap Ki Kamzoriyon Ko Dhanp Le, Is Main Koi Wadey 
Hon Na Intzaar Is Main Kuch Talab Karne Ki Nobat Na Aye
Wagarna Mehz Rabte Main Rehna Guftagu Main Muhabbat Ke Buland o Baang
Dawe Karna Zubaan Ka Chaska To Ho Sakta Hai Lekin Muhabbat Nahi.  


Degriyan Darhaqiqat Taleemi Akhrajat Ki Raseedein Hain
Warna Ilm To Wohi Hai Jo Amal Se Zahir Ho


Dard Wo Hota Hai Jo Hamein Dusron Ko 
Taklif Main Dekh Kar Ho Warna
Apna Dard To Janwaron Ko Bhi Hota Hai


Jitna Mil Jaye Qabool Kar Lena Chahye Ho Sakta Hai
Ye Bhi Hamari Aoqaat Se Zyada Ho Ham To
Gunahgaar Bande Hain Uska Fazal To Har Waqat 
Hamare Aib Chupata Hai.


Zindagi Kuch Aisi Be Muafi Ho Gai Hai Ke Insanon Se
Taluqaat Toot Te Jaa Rahe Hain Aur Apnon Se Bohat Door
Hote Jaa Rahe Hain.


Aik Din Ham Sab Aik Dusre Ko Ye
Soch Kar Kho Dain Ge Ke Jab Wo Yaad 
Nahi Karta To Main Use Kun Yaad Karta Hun


Jab Insaan Andar Se Mar Jata Hai To
Wo Had Se Zyada Khush Ikhlaq Ho Jata Hai


Waqat Se Pehle Aur
Qismat Se Zyada Kabhi Nahi Milta.


Ham Allah Ko Aik Mante Hain Magar
Ham Allah Ki Aik Nahi Mante


Agar Allah Ne Wo Le Liya Jisse
Khone Ka Tum Tassawur Bhi Nahi Kar Sakte The To
Yaqinan Wo Kuch Aisa Bhi De Ga Jisse
Pane Ka Tum Ne Socha Bhi Na Ho Ga.


Faqt Aik Aurat Ko Dekh Kar Apna Iman 
Kho Dene Wali Qoom Ke Nojawan Apne
Bunyadi Haqooq Ke Hasool Ke Lye Imani 
Taaqat Kahan Se Layein Ge. 


Zindagi Kabhi Kabhi Aisi Thokar Marti Hai Ke
Insaan Sidha Sajde Main Ja Girta Hai 


Muqaddar Jin Ke Unche Aur Aala Bakht Hote Hain
Zindagi Main Imtehan Bhi Unhi Ke Sakht Hote Hain


Sabar Aur Qadar
Karna Koi Koi 
Janta Hai


Thori Dair Sirf 15 Mint Ki Tanhai Main Baith Kar Allah
Allah Kar Liya Kijiye. Dekhye To Sahi Kesi Kaifiat Paida hOTI hAI.
Khtai Ka Naam Lene Se Mun Main Paani Bar Aye Aur Allah Ka
Naam Lene Se Qalb Par Asar Na Ho Ye Mumkin Hi Nahi..


Nekiyan Karte Jao Darya Main
Daalte Jao. Jab Kabhi Zindagi
Main Tufaan Aya To Yehi Nekiyan Kashti
Ban Jayen Gi.


Insaan Dusre Insaan Ko Jo Sab Se Bara Tohfa
Ata Kar Sakta Hai Wo Waqat Hai Is Se Qeemti Tohfa
Insaan, Insaan Ko Nahi De Sakta


Insaan Per Jo Halaat Aatey Hain Wo Do Qisam Ke Hote Hain:
Aise Halaat Jo Tabiyat Ke Mutabiq Hon Aur Khush Kun Hon.
Dosray Wo Halaat Jo Tabiyat Ke Manafi Hon Aur Nagwar Hon
To In Halaat Main Abdiyat Ye Hai Ke Yun Samjhe Ke Haq e Taala
Mujhey Qurb Ata Farmana Chahte Hain. Khushgwar Halaat Per To
Shukar Karon Ga Aur Nagwar Halaat Main Sabar Karon Ga


Kitna Khoobsorat Ehsas Hai Ke Hum
Allah Taala Say Apne Dil Ki Baat Karte Hain
Aur Wo SAB kuch Pehle Say Janta Hai Lekin
Phir Bhi Hamain Sunna Chahta Hai


Ehsaas e karbala Tujhe Bhi Ho Jaye Ga Aik Din
Tanha Kisi Aziz Ki Mayyat Utha Kar Daikh


Bhari Jaib Say Duniya Ki Pehchan Hoti  Hai
Aur Khali Jaib Say Apnon Ki


Koi Khushi, Koi Rishta, Koi Jazba Kabhi
Mushkil Nahi Hota, In Ke Bhi Paon
Hote Hain, Bas Hamara Sulook Aur Ravayya
Daikh Kar Kabhi Ye Bhaag Kar Kareeb Ajatey Hain
Aur KBHI Ahista Ahista Door Chaley Jaate Hain--


Aap Aurat Ke Saath Kitni Bhi Aql o Danish Ki Baat Karain,
Kaise Bhi Dalail Kyun Na Dain Agar Is Ki Marzi Nahi Hai To Wo Is Mantaq
ko Kabhi Nahi Samjhe Gi-Is Ke Dhun Ke Andar Apni Mantaq Ka Aik Drawing
Room Hta Hai, Jise Is Ne Apni Marzi Say Sajaya Hota Hai- Aur Wo Ise Roshan
Karne Ke Liye Bahir Ki Roshni Ki Mohtaj Nahi Hoti- Is Liye Wo Kisi Aql o Danish
Aur Dalail Ke Muamle Main Mange Ki Roshni Par Eman Nahi Rakhti- Is Ne Jo
Faisla Kar Liya Hota Hai Wohi Is Masle Ka Aakhri Hal Ha


Akhiyan Hor Kise Nu Kyun Wekhan
Jidon Khot Iman Wich Koi Nahi
Tere Dil Diyan Yar Khuda Jane
Sada Hor Jahan Wich Koi Nahi


Us Ko Pane Ka Kahan Socha Tha
Acha Lagta Tha So Muhabbat Kaar Li


Ilm Ye Hai Ke Aap Ko Maloom Ho Ke ''Kya'' Kehna Hai
Aur Hikmat Ye Hai Ke Aap Ko Maloom Ho ''Kab'' Kehna Hai


Zindagi Aakhir Kar Rula Hi Deti Hai Phir Chahe
Phir Chahe Hum Apne Maa Baap Ke Kitne Hi Ladle
Kyun Na Hon


Zindagi Guzarne Ke Do Tareeqe Hain
Jo Pasnd Hai Usey Hasil Kar Lo
Ya
Jo Hasil Hai Usey Pasand Kar Lo


Muhabbat Kisi Ke Liye Apni Jaan Qurbaan Karna
Nahi Hai


Subha Say Hi GhAR main Shamiana Laga Diya Tha
Ghar Mai Bohat Chehal Pehal Thi, Aaj Sham Usi Baite
Ne Apne Marhoom Baap Ke Esaal e sawab Ke Liye
Senkadon Longon Ko Khane Ki Daawat Par Bulaya Tha
Jis Ne Marhoom Ko Apni Hayat Main Aik Aik Waqt Ke
Khane Ke Liye Tarsaya Tha!


Sabhi Achey Hain Bas----
 Khuda Bura Waqt Na Laye Ke Yahi Sab Bure
Lagne Lagen Gaye


Jahil Sirf  Wo Nahi Hota Jo Taleem Yafta Na Ho,
Jahil Wo Bhi Hota Hai Jis Ne Digrion Ke Dher Lga
Rakhe Hon Magar Apne Zarf Main Wusat, Lehje Main
Narmi Aur Tabiyat Main Inkasari Na Paida Kar Paya Ho 


Insaan Bari Dilchasp Makhlook Hai
Ye Janwar Ko Museebat Mmain Daikh Kar Bardasht Nahi 
Kar Sakta Lekin Insaan Ko Museebat Main Daikh Kar
Khush Hota Hai


Main Janta Hun Ke Main Kuch To Hun
Kyun Ke
Mera Rab Koi Bhi Cheez Bekar Nahi Banata


Ye Schoolon Collijon Ke Imtihanaat
To Kuch Bhi Nahi
Asal Imtihan To Zindagi Leti Hai


Beshak Mera Rab Wo Hai,
Jo Insaan Ki Rooh Ke Andar Ki
Aziyyaton Ko Janne Wala Hai-!


Jhoot Bolne Ke Baad Aik 
Achey Hafize Ki Zaroort Hoti Hai


Lafzon Ke Dant Nahi Hote
Magar Ye Kat Letay Hain

     

Moong Phali Aur Aawargi Main Ye Kharabi
Hai Ke Admi Aik Dfa Shuru Kr De To Samajh
Main Nahi Aata Ke Khatam Kaise Kare


Koi Rishta Koi Jazba Kabhi Mushkil Nahi
Hota, In Ke Bhi Paon Hate Hain, Bas Hamara Sulook Aur
Ravayya Daikh Kar Kabhi Ye Bhaag Kar Kareeb Aajate
 Hain Aur Kabhi Aahista Aahista Door Chale Jate Hain

Post a Comment

0 Comments