Munir Niazi Poetry


Mefil Ara The, Magr Phir Kam Numa Hote Gaye
Dekhte Hi Dekhte Hum Kya Se Kya Hote Gaye
Na Shanasi Dehar Ki, Tanha Hamein Karti Gai
Hote Hote Ham Zamane Se Juda Hote Gaye


Mushkil Hua Hai Rehna Humein Is Diyaar Main
Barsoon Yahan Rehte Hain , Ye Apna Nhai Hua


Is Sakoot e Gham Faza Main Ik Tilsmin Naaznin
Surkh Gehre Surkh Lab Aur Chand Si Peeli Jabin
Aankh Ke Mubham Ishaare Se Bulati Hai Mujhe
Aik Purasrar Ishrat Ka Khazana Hai Wo Chashm e Dil Nashin


Us Akhri Nazar Main Ajab Dard Tha Munir
Us Ke Jane Ka Ranj Muje Umar Bhar Raha


Adab Ki Baat Hai Warna Munir Socho To
Jo Shakhs Sunta Hai, Wo Bol Bhi To Sakta Hai


Be Kashish Makanon Main Jese Chaand Ratein Thin
Us Ke Sard Chehre Main Khushguar Ankhein Thin


Ashk Rawan Ki Nehar Hai Aur Ham Hain Dosto
Us be Wafa Ka Shehar Hai Aur Ham Hain Dosto


Kal Betha Kuch Soch Rya SAAN
Gal Ik Guzre Wele Di
Apne Pind De Piplan Hitha
Choti Eid De Mele Di


Kal Dekha Ik Admi, Ata Safar Ki Dhool Main
Gum Tha Apne Ap Main, Jese Khushbo Phool Main


Khayal Jis Ka Tha 
Khayal Main Mila Mujhe


Ishq Ke Nashe Main Dube To Ye Jana Hma Nai
Ke Dard Main Tanhai Nahi Hoti Tanhai Main Dard Hota Hai 


Ye Manzar Aik Jesa Hai Jahan Tak Dekhte Jaye
Duniya Aik Jesi Hai Jahan Tak Sochte Jaye


Ham Bhi Ghar Se Munir Tab Nikle
Bat Apnon Ki Jab Sahi Na Gai


Tujhe Teri Aoqaat Ka Us Din Pata Chale Ga 
Aye Insaan!
Jab Loog Tujh Pe Mitti Daal Kar Haath Bhi
Tijh Pe Jhaaren Ge!!


Adab Ki Baat Hai Warna Munir Socho To
Jo Shakhs Sunta Hai, Wo Bol Bhi To Sakta Hai


Gham Ki Barish Nai Bhi Tere
Naqsh Ko Dhoya Nahi


Meni Nahi Munir Kisi Kam Main Yahan
Itaat Karen To Kya Hai, Baghawat Karein To Kya


Kuj Shehar De Look Wi Zalim San
Kuj Minun Maran Da Shoq Wi Si 


Us Akhri Nazar Main Ajab Dard Tha Munir
Us Ke Jane Ka Ranj Muje Umar Bhar Raha


Hamesha Aik Hi Aalam Main Hona, Ho Nahi Sakta
Musalsal Ka Kahein A Kar Badalna Bhi Zaroori Tha


Apne Rutbe Ka Kuch Lehaaz Munir
Yaar Sab Ko Bana Liya Na Karo


Aik Tez Teer Tha
Ke Laga Aur Nikal Gya


Itna Main Chup Hua Ke
Tamasha Nahi Hua


Thori Der To Sath Rahe Kisi
Dhundle Shehar Ke Naqshe Par


Gham e Khas Par Kabhi Chup Rahe
Kabhi Ro Diye Gham e Aam Par


Kuj Shehar De Look Wi Zalim San
Kuj Minun Maran Da Shoq Wi Si 



Post a Comment

0 Comments