Ye Taluq Bhi Bohat Khoob Rha Hai Kuch Din
Tu Mery Name Say Mansoob Rha Hai Kuch Din
kuch hadison se gir gaye mohsin zameen par
ham rashk e asman the abhi kal ki baat hai
chehre ajnabi ho jayen to koi baat nai mohsin
lehje ajnabi hon to bari takleef dete hain..
aye zindagi tu hi bata kese tujh se pyar karun main
teri har saans meri umar ghata deti hai.
jo bhulaye na ja rahe the kabhi
ab wohi yaad bhi nai ate
jafa ki aag tham jaye, fakhar tute kabhi mohsin
chale ana mere ho kar, main maazi phir bhula dun ga
mohsin tamash been hain ye sare ghamgusar
kijiye na apne gham ki wazahat kisi se bhi
barha rahi hai mere dukh nashaniyan teri
main tere khat teri tasvir bhi jala dun ga
kon kehta hai nafraton main dard hai mohsin
kuch muhabbatein bhi bari aziyat naak hoti hain
jinhein dekhna bhi na chahe nazar
unhin se taluq barhana para
saans meri thi magar us se talb ki mohsin
jese kheraat sakhi se koi sail mange
ik janun be meni ik yaqeen la hasil
kya mila hamein mohsin us ki arzo kar ke
dekhe jate na the anso mere jis se mohsin
aaj hanste hue dekha use aghyar ke beech
wo sehar toot gaya jis ke asre pe kabhi
ham asman ko bhi teri gali samjhte the
us ne ye soch kar hamein alvida keh diya mohsin
ye gharib log hain muhabat ke siwa kiya den ge
apna hi jism tesha e farhad laga
main ne chaha tha pharon ki sada
bichar ke tujh se kisi tor dil behal na saka
nashaniyan bhi teri mere pass kitni thin
fasl e khizan bhi ab
ki bari zi waqar thi
sab jurm meri zaat se mansoob hain mohsin
kya tere siwa sheher main masoom hain saare
isi khyal main guzri hai shaam e dard aksar
ke dard had se barhe ga to muskura dun ga
logon ne usey meri muhabat samjh liya
mohsin wo mujh ko jaan se pyara tha aur bas
heraan hun ke muddat e qaleel me mohsin
wo shakhs meri soch se zyada badal gaya
khud ba khud chor gaye hain to chalo theek hua
itne ahbaab kahan ham se sambhale jaate
ham bhi ghalib ki tarah kucha e jana se mohsin
na nikalte to to kisi roz nikale jate
ye jo ik zid hai ke mohsin main shikayat na karun
warna tum se to wo shikwe hain
mere yar ke bar
ik tera hijar aur sahib e aulad bhi ho
kuch to ho jaye burhape ka sahara murshid
ab to ankhon main faqt dhool hai kuch yaadon ki
ham usey yaad bhi aye hain to kab yaad aye
itni muddat bad mile ho
kin sochon me gum phirte ho
fursat mile to apni samat pe ghor kar
mere ghamon ki lea bhi tere qehqahon main he
chal para hun main zamane ke asoolon pe mohsin
main ab apni hi baatom se mukar jata hun
ab ye socha hai apni zaat main rahen ge mohsin
boht dekh liya logon se shanasai kar ke
zulmat shab se shikayat unhein kesi mohsin
wo to sooraj ko the aina dikhane wale
wo mutmain the bohat qatal kar ke mohsin ka
magar ye zikar e wafa suba sham kis ka hai
har waqat ka hansna tujhe barbad na kar de
tanhai ke lamhon main kabhi ro bhi liya kar
ab us ko kho raha hun bare ishtiyaq se
wo jis ko dhundne main zamana laga mujhe
sheher ke log bhi mohsin yehi karte hain sawal
ab bohat kam nazar ate ho kahan hote ho
achi lagti nahi is darja shanasai bhi
hath haton se milate hue thak jata hun
tujhe udaas bhi karna tha, khud bhi rona tha
ye hadisa bhi meri jaan, kabhi to hona tha
0 Comments