Parveen Shakir Poetry


Mar Bhi Jaun To Kahan Loug Bhula Hi Dain Gey
Lafz Meray Marey Hon Ki Gwahi Dain Gey


Tu Badalta Hai To Be Sakhta Meri Ankhain
Apne Hathon Ki Lakeeron Se Ulajh Jaati Hain


Talash Kar Meri Kami Ko Apne Dil Main
dard ho to samajh Lena Rishta Ab Bhi Baqi Hai


Jahan Sawal Ke Badle Sawal Hota Hai
Wahan Se Muhabbaton Ka Zawal Hota Hai
Kisi Ko Apna Bnana Hunar Hi Sahi
Kisi Ka Ban Ke Rehna Kamal Hota Hai


Ik Naam Kya Likha Tera Sahil Ki Rait Par
Phir Umr Bhar Hawa Say Meri Dushmani Rahi


Main Apni Dosti Ko Shehar Main Ruswa Nahi Karti
Muhabbat Main Bhi Karti Hun Magar Charcha Nahi Karti


Main Bhi Thehrun Kisi Ke Honthon Par
Meri Khatir Dua Kare Koi


Mathey Par Bal Na Aaney Diya Tha Kabhi
Lehje Main Itni Gehri Shikan Kesay Par Gayi


Wo Kahin Bhi Gaya Lota To Meray Paas Aaya
Bas Yahi Baat Hai Achi Marey Harjai Ki


Main Kyun Us Ko Phone Karun
Is Ke Bhi To Ilm Main Ho Ga
Kal Shab
Mosam Ki Pehli Barish Thi


Mumkina Faislon Main Aik Hijar Ka Faisla Bhi Tha
Hum Ne To Aik Baat Ki Us Ne To Kamal Kar Diya


Barsaat Main Bhi Yaad Na Jab Un Ko Hum Aaye
Phir Konse Mosam Se Koi Aas Lagaye


Zaroorton Ne Hamara Zameer Chat Liya
Wagarna Qail Rizqe Halal They Hum Bhi


Wo Shehar Main Hai, Yahi Bohat Hai
Kis Ne Kaha,Meray Ghar Hi Thehray


Nam Hain Palkein Teri Aye Moj e Hawa, Raat Ke Sath
Kya Tujhe Bhi Koi Taad Ata Hai Barsaath Ke Sath
 


Aur Zamanat Ki Wafa Kia Ho Gi
Tum Meri Saans Girvi Rakh Lo Na


Agarche Tujh Se Boht Ikhtlaaf Bhi Na Hua
Magar Ye Dil Teri Janib Se Saaf Bhi Na Hua


Kitni Masoom Khuahish Hai Is Deewani Larki Ki
Chahti Hai Muhabbat Bhi Kare Aur Khush Bhi Rahe


Wo To Khushbo Hai
Hawaon Main Bikhar Jaye Ga


Mmosam Ka Azaab Chal Raha Hai
Baarish Main Gulab Chal Raha Hai


Ye Barish Khubsurat Hai
Ik Arse Baad
Meri Rooh Main
Seraab Hone Ki Tamanna Jaag Uthi Hai
Magar Badil Ke Raste Main


Paas Jab Tak Wo Rahe Dard Thama Rehta Hai
Phelta Jata Hai Phir Aankh Ke Kajal Ki Tarah


Yaad Kar Ke Mujhe Nam Hui Hon Gi Palkein
Aankh Main Par Gaya Kuch Keh Ke Tala Ho Ga


Ab Na Puchun Gi Main Khoye Hue Khuabon Ka Pata
Wo Agar Aye To Kuch Bhi Batane Aye


Har Shakhs Nahi Hota Har Shahks Ke Qabil
Har Shakhs Ko Apne Liye Socha Nahi Karte


Ye Kab Kehti Hun Tum Mere Gale Ka Haar Ho Jao
Wahin Se Loot Jana Tum Jahan Be Zaar Ho Jao


Kamal Tha Shahks Jis Ne Mujhe Barbad Kiya
Khilaaf Us Ke Ye Dil Ho Saka Ab Bhi Nahi


Ab To Us Raah Se Woh Shakhs Guzarta Bhi Nahi
Ab Us Umeed Pe Darwaze Se Jhanke Koi


Ik Shakhs Ko Dekha Tha Taaron Ki Tarah Ham Ne
Ik Shakhs Ko Chaha Tha Apnon Ki Tarah Ham Ne


Yun Bicharna Bhi Boht Aasan Na Tha  Us Se Magar
Jate Jate Us Ka Wo Mur Kar Dubara Dekhna


Main Bhi Tehrun Kisi Ke Honton Par
Meri Khatir Dua Kare Koi

Post a Comment

0 Comments