Zikar Us Ka Sahi Bazm Main Bethe Ho Faraz
Dard Kesa Hi Uthe Hath Na Dil Par Rakhna
Be Rukhi Tu Ne Bhi Ki, Uzar e Zamana Kar Ke
Ham Bi Mehfil Se Uth Aye Hain Bahana Kar Ke
Hui Hai Sham To Ankon Main Bas Gya Phir Tu
Kahan Gya Hai Mere Shehar Ke Musafir Tu
Dil Ko Teri Chahat Pe Bhrosa Bhi Boht Hai
Aur Tujh Se Bichar Jane Ka Dar Bhi Nahi Jata
Aj Aik Aur Bars Beet Gaya Us Ke Baghair
Jis Ke Hote Hue Hote The Zamane Mere
Ye Soch Kar Ke Gham Ke Kharidar Agaye
Ham Khuab Bechne Sare Bazar Agaye
Ab Dil Main Hosla Na Sakt Bazwon Mai Hai
Ab ke Muqable Pe Mere Yaar Agaye
Awaz De Ke Chup Gai Har Bar Zindagi
Ham Aise Sada Dil The Ke Har Bar Agaye
Ham Kuch Ada Charagh Ke Jab Bhi Hawa Chali
Taakon Ko Chor Kar Sare Dewar Agaye
Main Fana Ho Gaya Aur Badla Phir Bhi Nahi Faraz
Meri Chahat Say Bhi Sachi Thi Nafrat Uski
KalHum Ne Bazm e Yar Mai Kya Kya Shrab Pi
Sehra Ki Tishnagi Thi So Dariya Sharab Pi
Apnon Ne Taj Diya Hai To Ghairon Main Ja Ke Baith
Ae Khanman Khrab Na Tanha Sharab Pi
Ruke To Gardishen Is Ka Tawaf Karti Hain
Chale To Is Ko Zamane Thehar Ke Dekhte Hain
Dil Ko Teri Chahat Per Bharosa Bhi Bohat Hai
Aur Tujh Se Bichar Jane Ka Dar Bhi Bohat Hai
Kya Kahen Kya Hai Un Ankhon Main Ke Rakh Deti Hain
Aik Achay Bhale Insan Ko Deewana Kar Ke
Zindagi Say Yahi Gila Hai Mujhey
Tu Bohat Dair Say Mila Hai Mujhey
Yahin Dil Tha Ke Tarasta Tha Ke Maraham Ke Liye
Ab Yahi Tarke Taluq Ke Bahane Mange
Muhabbat Ke Baad Muhabbat Mumkin Hai Faraz
Par Toot Ke Chahna Sirf Aik Baar Hota Hai
Hoi Hai Saam To Ankhon Main Bas Gya Tu
Kahan Gya Hai Meray Shehar Ke Musafir Tu
Main Janta Hun KeDuniya Tujhey Badal De Gi
Main Manta Hun Ke Aisa Nahi Bazahir Tu
Gul Bhi Gulshan Main Kahan Guncha Dehan Tum Jaisey
Koi Kis Mun Se Kare Tum Say Kare Tum Say Sukhan Tum Jaisey
Faraz Dil Ko Nigahon Say Ikhtilaf Raha
Wagarna Shehar Main Hum Shakal Surten Thin Bohat
Kisi Aur Dais Ki Aur Ko Suna Hai Faraz Chala Gya
Sabhi Dukh Smait Ke Shehar Ke, Sabhi Qarz Utar Ke Shehar Ka
Rafaqton Main Pashemanian To Hoti Hain
Ke Doston Say Bhi Nadanian To Hoti Hain
Hum Na Hon Gay To Kisi Aur Ke Charche Hon Gay
Khalqte Shehar To Kehne Ko Fasane Mangey
Kisi Be Wafa Ki Khatir Ye Junoon Faraz Kab Tak
Jo Tumhain Bhula Chuka Hai Use Tum Bhi Bhool Jao
Kitne Nadan Hain Teray Bhoolne Wale Ke Tujhey
Yad Karne Ke Liye Umr Pari Hai Jaise
Bikhar Rahe Hain Meri Zindagi Ke Tamam Work
Na Jane Kab Koi Aandhi Uda Ke Le Jaye
Main Kab Tak Dusron Ke Dukh Sambhaal Ke Rakhun Faraz
Jis Jis Ke Hain Wo Nishani Bata Ke Le Jaye
Use Tarasha Ke Hira Bana Diya Hum Ne Faraz
Magar Ab Ye Sochte Hain Use Khariden kaise
Wo Bhi Kya Din They Faraz Jab Is Say
Ishq Kam Aur Aashqi Ziyada Hua Karti Thi
Yuhi Mosam Ki Ada Daikh Kar Yad Aaya Hai
Ke Kis Kadar Jald Badal Jatey Hain Insaan Jaanan
Ajab Khal Hai Matti Say Bane Logon Ka
Be Wafai Karo To Rote Hain, Wafa Krao To Rulaate Hain
Tujh Say Lafzon Ka Nahi Rooh Ka Rishta Hai Mera
Tu Meri Sanson Mai Tehleel Hai Khushbu Ki Tarha
Meri Gardan Main Bahain Daal Di Hain
Tim Apne Aap Say Ukta Gaye Kya
Teri Ankhon Main Ne Jab Say Apna Aks Dekha Hai
Meray Chehre Koi Aur Aina Acha Nahi Lagta
Faraz Dil Ko Nigahon Say Ikhtilaf Raha
Wagarna Shehar Main Hum Shakal Surten Thin Bohat
Sulag Rahin Hain Najane Kis Aanch Say Ankhain
Na Aansuon Ki Talab Hai Na Ratjagon Ki Jalan
Barbad Karne Ke Aur Bhi Raste They Faraz
Najane Unhain Muhabbat Ka Hi Khayal Kyun Aaya
Hamari Misal Un Pholom Jaisi Hai Faraz
Jo Khile Hi Nahi Murjhane Ke Khoof Say
Umr Bhar Hum Yunhi Bhool Karte Rahe Ghalib
Dhool Chehre Per Thi Aur Hum Aina Saaf Karte Rahe
Fitoor Hota Hai Har Umr Main Juda Juda
Khilone, Ishq, Paisa Aur Phir Khuda Khuda
Bohat Si Khuahishain So Barishon Main Bheegi Hain
Main Kis Tarha Say Kahon Umr Bhar Usi Ka Raha
Jis Tarha Tum Guzarte Ho Faraz
Zindagi Us Tarha Guzarti Nahi
Aur Chahiyen Kitni Muhabbatain Tujhe
Maon Ne Teray Naam Per Bachon Ka Naam Rakh Diya
Nazar Bhuji To Krishme Bhi Roz o Shab Ke Gaye
Ke Ab Talak Nahi Aaye Hain Loug Jab KEe Gaye
Kare Ga Kon Teri Be Wafayon Ka Gila
Yahi Hai Rasm e Zamana To Hum Bhi Ab Ke Gaye
0 Comments