Bano Qudsia Best Quotes

har mard ke andar ye arzo hoti hai ke wo bano qusia

har mard ke andar ye arzo hoti
hai ke wo aurat ko is ki
patri utaare aur apne
raste par le kar chale. 

mard batakh ki manond hai, hamesha upar se panyon main bano qudsia

mard batakh ki manond hai, hamesha upar se panyon main 
terta hai aur machli ki tarah nichle paniyon main
nahi ja sakta.

ye mard ka almiya hai ke wo aurat se hamesha muhabbat bano qudsia

ye mard ka almiya hai ke wo aurat se 
hamesha muhabbat karna chahta hai lekin purkashish
us ke liye sirf husan hota hai jo
hamesha bahi rehta.

logon ko kehna chor do,  tum nahi jante bano qudsia

logon ko kehna chor do, 
tum nahi jante 
koi apne andar kesi
jang lar raha hai.

aik din tum piche mur kar dekho bano qudsia

aik din tum piche mur kar dekho
ge jin cheezon ke liye tum fikar
mand the wo to bohat choti 
thin aur tum bara samjhte rahe. 

log ye nahi jante ke qayamat wale din`bano qudsia

log ye nahi jante ke
qayamat wale din un ke pas kiya ho ga,
lekin ye zaroor jante hain ke
dusron ke sath kya ho ga.

kabhi bhi shadi ke khane ki burai na karo

kabhi bhi shadi ke khane ki burai na karo.
beti ke baap ki puri umar lagi hoti hai sirf us aik waqat ke khane ke liye.

is duniya main sakoon se jine ki aik hi tadbir hai bano qudsia

is duniya main sakoon se jine ki aik
hi tadbir hai ke har insaan ke pass 
aik wase o areez qabristan ho jahan
wo logon ki ghaltiyon aur khaamiyon ko
dafna aya kare.

kitni nazuk hoti hain larkiyan, pasand ka suit na mile bano qudsia

kitni nazuk hoti hain larkiyan,
pasand ka suit na mile to eid nahi manatin
magar aik na pasadidah insaan ke sath chup chap
puri zindagi guzar deti hain.

jab tak insaan dusre ki jaga pe khara na bano qudsia

jab tak insaan dusre ki jaga pe khara na
ho, use puri baat samajh main nahi ati.

muhabbat main majburiyan ayin to sab majburiyon bano qudsia

muhabbat main majburiyan ayin to sab majburiyon ko majbur
kar ke muhabbat chunna apni zindagi ka faisla khud lena kunke
aj agar jazbat main aa kar muhabat chor di to zindagi bhar
zinda laash ki tarah guzre gi aur jin ki waja se
majbor ho kar ap muhabbat choro ge wo bhi ap ka saath
kabhi nahi dein ge kuch reh jaye ga to zindagi bhar ka pachtawa. 

zyada tar loog apne ihsasat apne andar hi rakhte hain bano qudsia

zyada tar loog apne ihsasat apne
andar hi rakhte hain, in ko yaqeen hota hai
in ka dard koi nahi samajh sakta.

muhabbat apni marzi se khule pijre main toote bano qudsia

muhabbat apni marzi se khule pijre main toote
ki tarah bethe rehne ki salahiyat hai.

mard ke dukh ko khamoshi ki kokh main janam bano qudsia

mard ke dukh ko khamoshi ki kokh main janam lete hain aur andar hi andar sarayat
karte jate hain jabke aurat ke ansoo har taraf shoor karte hain. 

tumhein bhi apne lye koi rah talash karna ho gi bano qudsia

tumhein bhi apne lye koi rah talash karna ho gi 
sabi piche reh jane walon ke liye aur koi surat nahi hoti.

gar mard hawas ka pujari hai  to aisi aurton ko bano qudsia

agar mard hawas ka pujari hai 
to aisi aurton ko bhi taup ke agey
baandh kar ura dena chahye.

muhabbat ka sabaq barish se sikho bano qudsia

muhabbat ka sabaq barish se sikho
jo phuloon ke sath sath kaanton par bhi barsti hai.

agar kisi se muhabbat ho jaye  to izhaar main der mat karo

agar kisi se muhabbat ho jaye 
to izhaar main der mat karo.

zindagi ki khubsurti rishton se hai aur rishte tab bano qudsia hi

zindagi ki khubsurti rishton se hai
aur rishte tab hi qatam rehte hain jab ham
maaf karna aur dar guzar karna sikh jate hain.
agar aisa nahi hai to phir ham sirf
aik qaidi hain un samaji rasmon ke
jo hamein saath rehne aur aik 
dusre ko dekh kar muskura dene par majbur
kar deti hain.  

khuahishat to sabhi ke dil main hoti hain sab

khuahishat to sabhi ke dil main hoti hain sab
in ki takmeel chahte hain. lekin dekhna ye parta hai 
ke un taj rasai ke liye konsa rasta jata hai. 
usi raaste ke intikhab main insaan ka pata chalta hai.
usi intikhab main insaan ki barai ya us 
ka chota pan chupa hai.pata chalta hai ke wo sone ka
hai ya pittal ka.

ap kitna hi ilm kun na parh jao, ap kese bano qudsia

ap kitna hi ilm kun na parh jao, ap kese 
hi aalim kun na ban jao, lazim nahi ke
hidayat pa jao. ye allah ki aisi ata jai jis
ke liye wo khud intikhab karta hai. ilm ke sache
talib ban jao aur gir gira kar dua karo. shayad 
yehi pehli seerhi hai.

kisi ki bhi izat kisi ki zindagi se barh kar nahi hoti

kisi ki bhi izat kisi ki zindagi
se barh kar nahi hoti. 

muhabbat ka shoq rakhte ho magar bardasht nahi karte

muhabbat ka shoq rakhte ho
magar bardasht nahi karte.

Aadat muhabbar se zyada jaan lewa hoti hai bano qudsia

Aadat muhabbar se zyada jaan lewa hoti hai
main ne kai muhabbaton ko fana hote dekha hai

hero bho heroin tak pohanchna chahat ahai aur bano qudsia

hero bho heroin tak pohanchna chahat ahai aur
vilan bhi. sirf raste ke intikhab 
se aik hero thehrta hai aur dusra vilan.

logon ko judge karna chor do bano qudsia

logon ko judge karna chor do, tum nahi
jaante koi apne andar jang lar raha hai.

middle class larki ko badnami ka bara dar  hota hai.

middle class larki ko
badnami ka bara dar 
hota hai.

aksar aoqaat sach karwa nahi hota, sach bolne ka andaz bano qudsia

aksar aoqaat sach karwa nahi hota, sach bolne ka andaz karwa hota hai.
ham sach bolne ke sath sath dar asal dusre ko alil kar rahe
hote hain. aur tawaqo rakhte hain ke hamari zalil
karne ki harkat ko sirf sach hi samjha jaye.

Post a Comment

0 Comments