Dil Na Umeed To Nahi, Nakam Hi To Hai
Lambi Hai Gham Ki Shaam, Magar Shaam Hi To Hai
Aur Kuch Dair Na Guzre Shab e Furqat Se Kaho
Dil Bhi Kam Dukhta Hai Wo Yaad Bhi Kam Ate Hain
Ik Tarz e Taghaful Hai So Wo Un Ko Mubarak
Il Gharz e Tamanna Hai So Ham Karte Rahen Ge
Teri Umeed Tera Intazar Jab Sai Hai
Na Shab Ko Din Se Shikayat, Na Din Ko Shab Se Hai
Jo Ruke To Koh e Garan The Ham,
Jo Chale To Jaan Se Guzar Gaye,
Rahyar Ham Ne Qadam Qadam,
Tujhe Yaadgar Bana Diya.
Bedam Hue Bimaar Dawa Kun Nahi Dete
Tum Ache Masiha Ho Shifa Kun Nahi Dete
Gulon Main Rang Bhare Bad e Non Bahar Chale
Chale Bhi Ao Ke Gulshan Ka Karobar Chale
Umeed Yar, Nazar Ka Mizaj, Dard Ka Rang
Tum Aj Kuch Bhi Na Pucho Ke Dil Boht Udaas Hai
Nahi Nigah Main Manzil To Justaju Hi Sahi
Nahi Wisaal Muyasar To Arzo Hi Sahi
Khof e Nakami Umeed Hai Faiz
Warna Dil Tor De Talsme Majaz
Guzashta Hasraton Ke Daag Mere Dil Se Dhul Jayen
Main Ane Wale Gham Ki Fikar Se Azad Ho Jaun
Ab Phir Puchte Ho Muqaam Apna
Keh Jo Diya " Zindagi Ho Tum "
Wo Baat Sare Fasane Main Jis Ka Zikar Na Tha
Wo Baat In Ko Bht Naguar Guzri Hai
Dast e Falak Main Gardish e Taqdeer To Nahi
Dast e Falak Main Gardish e Ayyam Hi To Hai
Bol Ke Lab Azad Hain Tere
Bol Zubaan Ab Teri Hai
Dard Itna Hai Har Rag Main Hai Mehshar Barpa
Aur Sakun Aisa Ke Mar Jane Ko Ji Chahta Hai
Wo Baat Sare Fasane Main Jis Ka Zikar Na Tha
Wo Baat Un Ko Boht Nagawar Guzri Hai
Jis Dhaj Se Koi Maqtal Main Gya, Wo Shaan Salamat Rehti Hai
Ye Jaan To Ani Jani Hai, Is Jaan Ki To Koi Baat Nahi
Tere Qol o Qarar Se Pehle
Apne Kuch Aur Bhi Sahare Hain
Maidan e Wafa Darbar Nahi, Yaan Naam o Nasab Ki Puch Kahan
Asiq To Kisi Kam Ka Nahi, Kuch Ishq Kisi Ki Zaat Nahi
Seene Pe Hath Hai, Na Nazar Ko Talash e Bam
Dil Saath De To Aj Gham e Arzo Karein
Chalo Ab Aisa Karte Hain
Sitare Bant Lete Hain
Meri Muhabbatein Bhi Ajeeb Thin, Mera Faiz Bhi Tha Kamal Par
Kabhi Sab Kuch Mila Bina Talab, Kabhi Kuch Na Mila Sawal Par
Tumhari Yad Ke Jab Zakhm Bharne Lagte Hain
Kisi Bahane Tumhein Yad Karne Lagte Hain
Ab Koi Aya dIL e Zar ! Nahi Koi Nahi
Rah Ro Ho Ga, Kahin Aur Chala Jaye Ga
Dhal Chuki Raat, Bikharne Laga Taron Ka Ghubar
Lar Kharane Lage Aiwanon Main Khawabida Charagh
So Gai Rasta Tak Tak Ke Har Ik Rah Guzar
Jis Dhaj Se Koi Maqtal Main Gya, Wo Shan Salamat Rehti Hai
Ye Jan To Ani Jani Hai, Is Jan Ki To Koi Baat Nahi
Baat Niyyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Sare Dua Ke Hote Hain
Shaam e Firaq Ab Na Puch
Ai Aur A Ke Tal Gai
Ik Fursat Gunah Mili Wo Bhi Chaar Din
Dekhe Hain Ham Ne Hosle Parwardigar Ke
Kisi Pe Karte Hain Abr e Bahar Ko Qurbaan
Kisi Pe Qatal Ma Tabnak Karte Hain
Kisi Pe Hoti Hai Sar Mast Shakhsar Donim
Kisi Pe Baad e Saba Ko Halak Karte Hain
0 Comments