Anwar Masood Poetry


bas aik naam unhi ka, khuda ke naam ke baad
mozanon ki azanon main gunjne wala
ba shakle midhat o naat  o qasida o tosif
wo naam sari zubanon main gunjne wala


hamari ye sawari mashallah
kahin is ka koi hamsafar nahi hai

wo motor cycle apna hai jis main
dhuwa hai aur silancer nahi hai


Barhte Bhao

Seekh leemon se baha afzayiyan
sekh adrak garani ke ramuz
aye tamatar tu bhi apni qadar jaan
"narakh baala kun ke arzani hanuz" 


Allama

kisi bholu ko jab chaha, yahan gama bana dala
kisi patloon ko khaincha to pajama bana dala
jo shayad matric kar ke samandar paar aye they
inhein yaaron ne amrica main allama bana dala


Dehshat Zada

mujh se na meri surat ehwaal puchye
tarsida, ranj deeda o afat raseeda hun
unchi sada sunun to dehalta hai dil mera
darta hun is liye ke dhmaka gazeera hun


Har Shey Ko Lagi Aag

Puchte kiya ho ke is elaan se
surat e halat kesi ho gai
mulk main patrol kiya mehnga hua
mulk main har cheez mehngi ho gai 


Suhana Sapna

maeeshat itni mustehkam hai meri
main america se se badla le raha hun
ye main ne khuab main dekh hai anwar
main IMF ko qarza de raha hun 


mere nazdeek kehqha wo hai ke jisse
nichora jaye to ansoo tapkein


jab bhi chahein murgh kha lete hain dolatmand
din ki pabandi nahi mangal ho ya itwar ho
haan magar muflis ko kab hota hai ye khana nasib
murg ho bimaar ya admi khhud bimar ho


ab to us ko ma siwa lahore ke
shehar bhi koi pasand ata nahi
doctor banne ko aya gaon se
doctor ban kar wahan jata nahi

Post a Comment

0 Comments